Tumhari Shikayat | Desh Kumar |

Tahlne nikla hu, zindagi ke safar pr
Tum bhi, Sath Aaogi kyaa
Mujhse tumko jo hai itni shikayate
Hua kya hai, ye btaogi kyaa
Maine yeh kha tha, Maine wo kha tha, bas bhi kro
Tumne suna kya hai, Yeh btaao gi kyaa
Baato baato me mang rhi ho, Mohabbat ka suboot
Saaf saaf btao, Aajmao gi kyaa
Yun jo tum ja rhi ho door
Aakhir wajah kya hai, Samjhao gi kyaa
Kyun puchhti ho mujhse meri berookhi ki wajah
Bewfaa hu mai, Yeh sun paogi kyaa
Mai to begairat hu, Tujhe bhula dunga
Tum mujhe, Bhula paogi kyaa
Puchne lga koi agar tumse mudda-e-ishq
Kbhi mera koi Sher Sunao gi kyaa
Ek kasam thi Bhool jane ki
Maine to Tod di, Tum nibhao gi kyaa
Suna hai koi or bhi jagta h teri yaad me raat bhar
Kbhi mujhe bhi usse milwaogi kyaa
Usne kha, "Kal meri shaadi hai tum aaoge kya"
'Kal hi mera Jnaja hai, Yeh btao tum aaogi kyaa'
Na kiya kro aisi baate
Kyun sunogi, to mar jaaogi kyaa
-Desh Kumar

Comments

Popular posts from this blog

Chashme Lagane Wali Ladki | Desh Kumar | Ek Shayar |

Badan Par Pakke Nishan | Desh Kumar | Ek Shayar |