Posts

Showing posts from January, 2018

Bohat Ho Chuka Yeh Ishk e fareb | Desh Kumar |

Meri fikar use bhi raat bhar jgati hogi Bs ab yeh sb socha na krenge.. Ye dil dhadakna thodi chhor dega Agar us ek shaksh ki tamanna na krenge.. Dil se zazbat alag kar diye hmne bhi Uski tarha ab mohabbat ka  dikhava na krenge.. Be-sabab hi us se bichhad rhe hai Is dfaa koi wada na krenge.. Ek sabak us se hme yeh bhi mila Is janam to hum wfa na krenge.. Uska chehra hi kyu dikhta hai bar bar Palak tak bhi ab jhapka na krenge.. Uski be-rookhi beshak chubhti ho hme Pr us se ab koi shikayat na krenge.. Tum khud hi baat na kiya kro hmse Kyuki hum jo be-wfa hue, baat na krenge.. Boht ho chuka ye ishk-e-fareb Bas kro, nhi to hum ab Lihaaj na krenge.. -Desh Kumar

Agar Mohabbat Ek Hadd Me Hoti | Desh Kumar |

Agr mohabbat ek hadd me hoti To aaj yun tum khamosh na hoti.. Chlo achi hai yeh khamoshi bhi Warna teri baate kbhi khatam na hoti.. Mai tujhe bhulane ki koshishe na krta Meri yaad tujhe stati na hoti.. Mai apni mohabbat se mukar jata Tujhe bhi meri fikar na hoti.. Chain se gujarti meri har raat Tu bhi raato ko yun royi na hoti.. Galatfahmi, galatfahmi hi rahti agar Hme itni takleef na hoti.. Acha hota mai tumse milta hi na Or tum bhi mujhse kbhi mili na hoti.. Ajnabi hi rhte to acha hota Jankar ajnabi yun tum na hoti.. Sab kuch yun khatam krne se acha tha Ye kahani kbhi shuru hi na hoti.. -Desh Kumar