Stories

=> Kismat aur khushi
__

Ek baar bhagwan apne 2 bhagto ki sewa se boht khush ho gye.
Unka naam tha Ram aur Raheem.
Un dono ko unki ichha puchhi gyi to Ram ne bhagwan ki bdi beti Amiri se or Raheem ne bhgwan ki chhoti beti Greebi se shaadi ki ichha rkh di. bhagwan ne un dono ki shadi apni 2 beti Amiri or Gareebi se krwa di.
Ram ko Amiri mili or Raheem ko Greebi.

Din beetne lge or dekhte hi dekhte Ram ka kaam or karobaar badne lga, ghar paiso se bhrne lga or nyi gadiya le li gyi.

Udhar dusri taraf Raheem ko har kaam me nuksan hone lga or nobat yha tak aa gyi ki use apna ghar bech kar ek chhoti si jhopdi me rahna pad gya.

Dusri taraf Ram or Amiri ke ghar ek bete ne janam liya unhone uska naam rakha 'Kismat'.
Kismat ki dekh rekh ke liye nokar chakar ki fouj lgi rahti thi usey kisi bhi cheej ki kami mahsoos nhi hone di jati thi.

Inhi dino Raheem or Greebi ke ghar me bhi ek ladki ne janam liya, ladki boht sundar thi aankho me chamak thi, maathe pr tez tha, us ladki ka naam 'Khushi' rakha gya. Ab Raheem or jayada kaam krne lag gya taki wah apne parivar ke liye kam se kam hr roz acha bhojan juta ske.

Samay beetne lga saal gujarte gye or ek hadse me Ram ki patni Amiri ka dehant(mrityu) hogya tha or Ram ka beta 'Kismat' bda ho gya, Kismat ki sewa me har samay nokar hajir rhte the, use kaam krna pasnd nhi tha wo dosto ke sath ghumne jata raat ko deri se ghar aata, Ram ko apne bete ki chinta lgi rahti thi, Ram budha ho chuka tha wo chahta tha uska beta ab kaam or karobaar ki taraf dhyaan de, lekin Kismat kaam nhi krna chahta tha, wo nokro se bhi bura vyavhar(behave) krta tha. Naukro ne bhi Ram ke Ghar me kaam krna band kr diya.

Udhar Raheem ki beti Khushi bhi badi ho gyi. Uski maa Greebi ne use sikhaya ki hmesha sbse sir jhuka kr baat kro, dusro ki sewa kro.
Khushi dikhne me boht sundar thi hmesha chehre pe muskan rkhti thi. Jub bhi Raheem kaam se ghar wapis aata to Khushi uski sewa krti din bhar ki baate btati.

Ek baar Raheem ko kaam ke liye shahar jana pda to Usne socha ki Ram se milta chalu. Raheem jse hi Ram ke ghar pahucha to usne dekha ghar ke bahar Boht bdi bdi gadiya khdi hui h andr bhi ghar ki unchi diwaro par keetmi sjavat ki gyi h tbhi Ram ne use dekh liya or uska swagat kiya. Raheem ne ghar parivar ke baare me puchha to Ram ne btaya ki kse uski patni Amiri gujar gyi or uska beta Kismat bigad gya hai ghar se hmesha bahr rhta h or nashe or jue ki buri aadato me pd gya hai, ghar ke naukar bhi kaam chhor gye h.
Dono baat krte hue khane ke liye baithe Ram ne hi khana prosa to Raheem hairaan rah gya uske samne sone chandi ke bartan the or unme rakhi hui thi do sookhi roti.

Usne dekha Ram ro rha tha or bta rha tha ki kis trha wo aaj akela ho gya hai.
Raheem ne Ram ko sambhala or use apne sath apne ghar le gya. Raheem ka ghar chhota tha, ek chhoti jhopdi jiske chhat or zmeen dono kachi thi. Apne papa ko aate dekh beti Khushi ne dono ka swagat kiya or pine ko meetha sharbat diya. Or sath sath hi wo apne papa ko btane lgi ki uski maa ne use khane me kya nya bnana sikhaya or unke kaam ke baare me puchha or khana pros ke le aayi. Khushi ne uncle Ram ko phle ek kele ke patte pr hlwa proste hue kaha ki "btayiye kaisa bna hai maine aaj hi seekha hai",
Ram ke aansoo ruk nhi rhe the wo soch rha tha ki Raheem ne bhgwaan se 'Greebi' mangi uske hisse me aaj 'Khushi' thi.
Aur maine apne liye 'Amiri' mangi or aaj 'Kismat' ne mujhe diya kuch bhi nhi..

-Desh Kumar
For more stories check
www.ekshayar.com

Comments

Popular posts from this blog

Chashme Lagane Wali Ladki | Desh Kumar | Ek Shayar |

Badan Par Pakke Nishan | Desh Kumar | Ek Shayar |

Talluk Nahi Hai Kuch | Desh Kumar | Ek Shayar |