Posts

Showing posts from June, 2020

Uske Dil Ka Rasta | Desh Kumar |

Uske dil ka rasta meri aankhon me dundh Uske badan ki khushbu meri sanson me dundh Mai dundhu tarike tujhko manane ke  Tu kam se kam Roothne ke bahane dundh Mai gum hu uske khyalon me baitha hua Lekin mai kaha hun Phle mujhko jake dundh Rota hai lup lup krta hai siskata hua Is dil ko chup karana hai khilone dundh Uska bichhadna teri kismat me likha tha  Milna hai to jake apne hatho me lakiren dundh Mujhe to har dusre insan me dikhta hai Tujhe nhi dikhta yo jake mandir masjidon me dundh _Desh Kumar

Apne Ghar Me Kis Baat Ka Darr |Desh Kumar|

ye tab ki baat hai jub mai chhota tha hmare gao me jo hmara ghar tha uske paas pipal ka ek ped tha sab log aise bolte the ki us ped pe kisi rooh yani aatma ka saya hai aur raat ke waqt wo aatma ghumti bhi hai to raat ko jub bhi hme bahar jana hota tha to hme bda darr lgta tha ki koi to hai bahar mummy bolti thi ki apna ghar hai apne ghar me kis baat ka darr tum jao hum sab hai yha tumhari safety ke liye lekin mai to chhota tha aur mai ye sochta tha ki ye kaisi baate kar rhe hai mai agar bahar gya to mar jaunga aaj ka scene bhi aisa hi hai india me aur sari duniya me log corona ke darr se bahar aane se darr rhe hai govt. bol rhi hai ki hum tumhare sath hai police hai, doctors hai aur sabse badi baat ye desh tumhara apna ghar hai apne ghar me kis baat ka darr aaj social media pe, news me sab jagah logo ko bs daraya ja rha hai jabki in sab ka use logo ko aware karne ke liye hona chahiye aap safety ka dhyan rkhe social distance bnaye rkhe mask lgaye , hatho ko sanitize kare lekin kam se ka