Apne Ghar Me Kis Baat Ka Darr |Desh Kumar|

ye tab ki baat hai jub mai chhota tha
hmare gao me jo hmara ghar tha uske paas pipal ka ek ped tha
sab log aise bolte the ki us ped pe kisi rooh yani aatma ka saya hai
aur raat ke waqt wo aatma ghumti bhi hai

to raat ko jub bhi hme bahar jana hota tha to hme bda darr lgta tha
ki koi to hai bahar

mummy bolti thi ki apna ghar hai apne ghar me kis baat ka darr
tum jao hum sab hai yha tumhari safety ke liye
lekin mai to chhota tha aur mai ye sochta tha ki ye kaisi baate kar rhe hai
mai agar bahar gya to mar jaunga

aaj ka scene bhi aisa hi hai
india me aur sari duniya me log corona ke darr se bahar aane se darr rhe hai
govt. bol rhi hai ki hum tumhare sath hai police hai, doctors hai
aur sabse badi baat ye desh tumhara apna ghar hai
apne ghar me kis baat ka darr

aaj social media pe, news me sab jagah logo ko bs daraya ja rha hai
jabki in sab ka use logo ko aware karne ke liye hona chahiye

aap safety ka dhyan rkhe
social distance bnaye rkhe
mask lgaye , hatho ko sanitize kare
lekin kam se kam roz ke kaam kre,
ofc jaye, kyuki ye apna ghar hai

apne ghar me kis baat ka darr

apne ghar me dariye mat
aur kisi ko drayiye mat



khtam!!!


_Desh Kumar

Comments

Popular posts from this blog

Chashme Lagane Wali Ladki | Desh Kumar | Ek Shayar |

Badan Par Pakke Nishan | Desh Kumar | Ek Shayar |