Posts

Showing posts from May, 2018

Story: Khushi Aur Kismat | Desh Kumar |

Ek baar bhagwan apne 2 bhagto ki sewa se boht khush ho gye. Unka naam tha Ram aur Raheem. Un dono ko unki ichha puchhi gyi to Ram ne bhagwan ki bdi beti Amiri se or Raheem ne bhgwan ki chhoti beti Greebi se shaadi ki ichha rkh di. bhagwan ne un dono ki shadi apni 2 beti Amiri or Gareebi se krwa di. Ram ko Amiri mili or Raheem ko Greebi. Din beetne lge or dekhte hi dekhte Ram ka kaam or karobaar badne lga, ghar paiso se bhrne lga or nyi gadiya le li gyi. Udhar dusri taraf Raheem ko har kaam me nuksan hone lga or nobat yha tak aa gyi ki use apna ghar bech kar ek chhoti si jhopdi me rahna pad gya. Dusri taraf Ram or Amiri ke ghar ek bete ne janam liya unhone uska naam rakha 'Kismat'. Kismat ki dekh rekh ke liye nokar chakar ki fouj lgi rahti thi usey kisi bhi cheej ki kami mahsoos nhi hone di jati thi. Inhi dino Raheem or Greebi ke ghar me bhi ek ladki ne janam liya, ladki boht sundar thi aankho me chamak thi, maathe pr tez tha, us ladki ka naam 'Khushi' ra...

Uske Do Aashiq The | Desh Kumar |

Uske do aashiq the dono hi mere andar the Ek ko us sey mohabbat thi ek ko nafrat dono ladte rahte the.. Mujh hi me ek shaksh unhe acha bhi lagta tha Mujh hi me ek shaksh ko wo bura bhi kahte rahte the.. Dono hi us sey milna chahte the Aur wo jis sey milna chahte the us sey milte rahte the.. Us sey bichhadne ki zidd bhi thi hme Uski hi tamanna me rote rahte the.. Usey jis se bhi bichhadna tha Hum us shaksh me jeete rahte the.. -Desh Kumar उसके दो आशिक़ थे, दोनों ही मेरे अंदर थे एक को उस से मोहब्बत थी एक को नफ़रत, दोनों लड़ते रहते थे। मुझ ही में एक शख्स उन्हें अच्छा भी लगता था मुझ ही में एक शख्स को वो बुरा भी कहते रहते थे। दोनों ही उस से मिलना चाहते थे और वो जिस से मिलना चाहते थे उस से मिलते रहते थे। उस से बिछड़ने की ज़िद भी थी हमें उसकी ही तमन्ना में रोते रहते थे। उसे जिस से भी बिछड़ना था हम उस शख्स में जीते रहते थे।